Saturday, March 23, 2013

Islami

Jaa Zindagi Madinay Se Jhonkay Hawaa K Laa,
Shayad 'HUZOOR'
Hum Se Khafa Hein, Manaa K Aaa.
Kuch Hum Bhi Apna Chehra-e-Baatin Sanwaar Lein,
'ABU BAKAR' Se Aaina Ishq-O-Wafa Ka Laa.
Duniya Bohat Hi Tang Musalman Pe HoGai,
'FAROOQ' K Zamanay Ka Naqsha Utha K Laa.
Mehroom Kar Diya Hamein Jin Se Nigah Ne,
'USMAN' Se Wo Zevar Sharm-O-Hayaa K Laa.
Maghrib Mein Maara Maara Na Phir Aey Gadaa-e-Elm,
'Darwaza-e-ALI' Se Ye Khairaat Jaa K Laa.
Baatil Se Dabb Rahi Hy Phir Ummat 'RASOOL' Ki,
Manzar Zara 'HUSSAIN' Se Kuch Karbala K Laa..!!

No comments:

Post a Comment