Wednesday, March 13, 2013

Sad Poetry

Falak hy hairaan, zameen dang hy..
Mere Watan me ye kesi jang hy?
Hain Mahv-e-hairat yahan k baasi..
Hy kon Haq par, hy kon baaghi ?
Ajeeb Manzar, ajeeb uljhan..
Hy kon Apna, hy kon Dushman ?
Barasti hr su Lahu ki barish..
Hy koi Fitna, ya koi Sazish ?
Kahin Mezail baras rahy hain..
Kahin pe insan bomb bany hain..
Kahin makeen-o-makaan pe hamly..
Kahin hain zidd pr Juloos jalsy..
Badan fiza me bikhar rahe hain..
Palon me kunby ujarr rahe hain..
Ye Aah-o-zaari, ye Sog'wari..
Hr ek chehry pay hy Mout taari..
Luti Muhabbat, luta sakoon hy..
Humare hathon humara khoon hy..
Na aise ghairon ki baat maano!
Khudara Samjho, Khudara jaano,
Ajab tamashy, ajab sitam hy..
Idhar bi hum hain, udhar bi hum hain..
Mere Watan me ye kesi Jang hai...!............

No comments:

Post a Comment