Saturday, April 20, 2013

Sad Poetry

EK Taaza Hiqayat hay
Sunn lo toh enayat hay
Ek Shakhs ko dekha tha
Taaron ki tarha Ham nay
Ek Shakhs ko Chaha tha
Apno ki Tarha Ham nay
Ek Shakhs ko Samjha tha
Pholon ki Tarha Ham ne
Wo Shakhs Qayamat tha
Kya us ki karen Baaten
Din Us kay Liye Peda
Us ke Liye theen Raatein
Kum Milna Sabhi se tha
Hum se theen Mulaqaten
Rang Us ka Shahabi tha
Zulfo'n men theen Mehkaren
Ankhein theen k Jadoo tha
Palken theen k Talwaren
Dushman bhi Agar Dekhen
So Jaan se Dil Haren
Kuch Tum se wo Milta tha
Baton men Shabahat men
Haan Tum sa hi Dikhta tha
Shokhi men Shararat men
Lagta bhi Tumhi sa tha
Dastur-e-Muhabbat mein
Wo Shakhs Hamen ik din
GhairoN ki Tarha bhoola
Taron ki tarha Doba
Pholon ki tarha tota!
Phir Hath Na Wo aya,
Ham ne to Bohat dhunda
Tum kis liye Chonkay ho?
Kab Zikr Tumhara hay?
Kab Tum say Taqaza hay?
Kab Tum se Shikayat hai?
Ek Taaza Hikayat hay
Ek Taaza Hikayat hay

No comments:

Post a Comment