Dukh ki taskeen risaaley to nahi kar sakty,
Ye fasany, ye maqaaley to nahi kar sakty.
Roshni chahiye lekin is ik shauq mei hum,
Ghar ko sho'lon k hawaaley to nahi kar sakty.
Noor ki raah mei deewar uthaany waaly,
Qaid suraj k ujaaley to nahi kar sakty.
Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad,
Guftugu paon k chhaaley to nahi kar sakty.
Kaisy aashiq hain k khush hain teri ruswaayi par,
Yoon kabhi chahaney waaly to nahi kar sakty.
Bad gumaan ham sy hain kuch log to majboor hain ham,
Saaf har zehn k jaaley to nahi kar sakty.:
No comments:
Post a Comment