Friday, May 10, 2013

Lov Poetry

Tera Husn ho Mera Ishq ho,
To phir Husn-o-Ishq ki baat ho,
Kbhi main milun, Kbhi tu milay
Kbhi hum milayn mulaaqat ho,
Kbhi tu ho chup, Kbhi main hun chup
Kbhi dono chup chaap hon
Kabhi guftagu, Kabhi tazkary
Koi zikar ho , Koi baat ho
Jo wisal ho to din ko ho
Kbhi hijr ho to wo raat ho
Kbhi main tera Kbhi tu meri
Kbhi aik dujay k hum rahen
Kabhi sath main, Kabhi sath tu
Kabh ik dujay ka sath ho
Kbhi sohbatein, kabhi ranjishen
Kabhi duriayan, kabhi qurbatein
Kabhi ulfatein, Kabhi nafratein
Kabhi jeet ho, kabhi maat ho
Kabhi phool ho, kabhi dhool ho
kabhi yaad ho, kabhi bhool ho
Na nashaib hon, na faraz hon
Na hi jeet ho, nahi maat ho
Rahen muskaratey pyar mein,
Khilain phool ban k bahar mein,
Na zameen ho, Na falak ho
Sirf
Teri zaat ho, meri zaat ho

No comments:

Post a Comment