raat bhi sari jagtey huie guzri,
shab e gham mien shama jalatey huie guzri,
apni nakamiyoun pe afsous karte huie,
aankhou se ashk bahatey huie guzri,
ghamou se bharey iss tootey huie dil ko,
dukhou se apney bhelatey huie guzri,
jo chord gaya tanha safar mien mujhko,
usi ek bewafa ko bhulatey huie guzri,
wo na aaiega phir laut k yahan,
yehi baat dilko samjhatey huie guzri,
har lamha qayamat ki manand tehra,
har ghari mann ko tarpatey huie guzri,
khiza k iss phailey huie mausam mien,
saba bhi apni nazrien churatey huie guzri,
andhero ney apni dastaan sunaie mujhko,
roshni bhi apni kahani sunatey huie guzri,
kuch yadou ney neendien na aney di,
kuch raat jagou ki baarish mien nahatey huie guzri,
kab ka bhula diya tah mainey jisey,
kal hawa bhi aus k geet gungunatey huei guzri,
khuabou k sahil pe tere naam ko ,
kabhi likhte tou kabhi mitatey huie guzri,
nafrat aur pyaar ki kashmakash mien ye zindagi,
kuch rotey guzri tou kuch muskuratey guzri……
No comments:
Post a Comment