Yun haath joray, Allam main dobay
Huroof mujh se ye poochtay hain
K hijr raaton main honay wali
Ghazal ka noha wo kab banein gey?
Ye dard, wehshat.....malaal, sadma
Ye ranj o afsos.....dukh, udasi
Na janay kab se ye saray alfaz sab ma'ani
Meri tawaja k muntazir hain
Mere tasawur se jhaanktey hain
Wo istafhaami mizaj daan
Jo maangtay hain kalaam mujh se
Ameeq raaton ki roshnai se likhne walay sitam bureeda
Udas nok-e-kalam se main ne
Raqam jo qisa kia tha dil pe
Wo kab supurd e zubaa'n karun ga
Sukhan ki arzi uthaye phirtay, ye multajee hain huroof mujh se
Jo mujh pe beeti wo kab likhoon ga?
Jo ab na likhoon to kab likhoon ga____!!
No comments:
Post a Comment