Friday, February 25, 2011

Poetry

/ pyar ki taqat \
Yeh mere haath ki garmi
Jise choo ker
Tumhain aankh main
hairat ke doure hain
Keh isse qabal jab bhi
tumne mera haath thama
Barf ka mousam hi paya
Yeh mousam mere andar
kitne berson se firokash tha
Bahar ati thi
Aur mere dareechon per
kabhi dastuk na deti thi
Gulaabi baarishen
Mere liye mamnoo thi'n
Aur subha ki taza hawa ka zaiqa
Main bhool bethi thi
Mere malboos se sub
garam rangon ko
shikayat thi
Mujhe bus baraf ki chader
pehenane ki ijazat thi
Magar janaa'n!
Tumhare saath ne to rooh
ka mousam badal dala
Yahan ab rang ka
tehwaar hai
Khushboo ka mela hai
Mera malboos ab gehra gulaabi hai
Mere khuwabon ka
chehra mahtaabi hai
Mere haathon ki hiddat
aaftabi hai jise choo ker...
Mujay tm nay mujay
mukamal kar diya tha....??

No comments:

Post a Comment