Monday, March 14, 2011

Poetry

[ Tum Na Jaage ]
Chalo Chorro Bhii Ab Khwabon Kii Baatein
Jii Liye Kafi Dinon Tak
Zindagi Ko Bhool Kar
Masroofiat Se Jii Chura Kar
Gosha-E-Gum-Naam Mein So Kar
Tumhein Toh Subah Se Pehle Hii
Khwabon Ka Yeh Dariya Paar Karna Tha
Unhein Daikho K Jo Kam Khwab Hein
Peeche Se Aaye Aur Tumhare Paas Se Guzre
Woh Agli Manzilon Kii Deed Kii Se Be-Taab
Sooraj Doobne Ko Sar Zamee'n Par Jaagte Hein
Aarzoo Kii Fasal Bote Hein , Toh Khud Hii Kaat'te Hein
Apni In Khud Saakhta Khush-Fehmiy'on Kii
Thandi Thandi Chaa'on Mein Sote Rahe Tum
Sang-E-Raizon Kii Tarah Jeete Rahe
Aur Doosron Ke Paa'on Mein
Pamaal Hii Hote Rahe Tum
Dhoop Phir Deewaron Se Dhalne Lagi
Tum Apne Un Be-kaar Khwabon Se Na Jaage
Aur Kiraa'n Ta-Bay Kiraa'n Phaile Hue
Rangee'n Seraabon Se Na Jaage
Aasmaa'n Se Sab Azabon Se Na Jaage

No comments:

Post a Comment