Monday, March 14, 2011

Poetry

Qabar
Aziyat Darr Aziyat Musafaton Ki Raah Guzar Main
Kis Ko Khabar Thi Khusboo Yeh Kesi Humsafar Hai
Muhabbat K Jazeeron Main Nigahon Ka Wajood Mehwar Tha
Yeh Siskiyon Aahon Ka Safar Hai
Wohi Humraaz Hai Wohi Shokiyaan Uski
Wohi Ranjishen Hain Wohi Dilnawaziyaan Uski
Wohi Fitrat-E-Mukhlsi Meri Wohi Dil Per Mere Jabarr Hai
Na Haathon Ki Lakeeron Ko Khabhar Thi
K Rooh Ki Kis Pe Nazar Thi
Baraa Khamosh Nagar Hai Ahl-E-Hosh Kya Jaanen
Sanam Kad'day Ko Jaane Wali Sabar Ki Tapti Dagar Hai
Kon Jaane In Tareek Raahon K Safar Main
Kis K His'say Aaye Manzil
Kis Ki Qismat Main Muhabbat Qabar Hai

No comments:

Post a Comment