Saturday, April 9, 2011

Poetry

Aaina mujh sey mery pahli si surat maangey
mery apny mery honey ki nishani maangey
mein bhatakt hi rha derd key weerany mein
waqt likhta rha chahrey pe her lamhy ka hisab
aj lota hoen tu hansney ki ada bhol gaya
ye shaher bhola mujhey mein bhi isey bhol gaya
mera fun phir mujhey bazaar mein ley aya hy
ye wo ja hy key jahan meher o wafa bikty hein
baap bikty hein ur lakht e jiger biktey hein
bhok bikti hy dil bikty hein sir bikty hein
iss badalti hoi duniya ka khuda koi nahi
sastey dammon her roz khuda bikty hein
her khareedar ko bazar mein bikt apaya
ham kia payein gey kisi ny yahan kia paya
mery ahsaas mery phool kahein ur chalein
......meri bachi kahein ur chalein

No comments:

Post a Comment