Saturday, April 9, 2011

Sad Poetry

meri masoom farozi , meri mabooda e jaan
mil gaya hai mujhe maktoob e mohabbat ka jawab
us k andaz e nigarish se pareshan huun main
wehshat afza hai mere waste asloob e khitaab
dekhna thay mujhe sharmaye huwe kuch jumlay
mujh ko ahadees o rawayaat nahin sunna theen
dekhna tha mujhe ik jazba e kamil tum mein
mujh ko Quran ki ayaat nahin perhna theen
tum ne likha hai k tum bhai samajhti ho mujh ko
aab e zam zam se karo pur na jawani ka ayaagh
tum ne likha hai k pakeeza mohabbat hai mujhe
shama e kaaba se jalaao na meri shab ka charagh
tum agar bhai samajhti ho to yeh bhi likho
bhai k khat ko bhi chuo chup k perha kerte hain?
tum agar bhai samajhti ho to yeh bhi batlao
bhai ka naam bhi sharma k liya kerte hain?
maine samjha tha mai§naab e takhayyal tum ko
ab yeh taqdees e takhayyal to bari mushkil hai
aao main tum ko bataon k mohabbat kia hai
hasrat e larzish e be ja ka mukammal ehsas
mard o aurat mein meri hoor tere sir ki qasam
rishta e aadam ho hawwa k siwa kuch bhi nahin

No comments:

Post a Comment